Friday, March 6, 2009

tum kya jano

Tum kya jaano main khuda se kya maangti hoon,
Tumhari salaamti ki hamesha dua maangti hoon.
Agar anjaane mein ho jaye koi tum se khata ,
To do mujhe uski saza yeh maangti hoon.
Agar lag jaaye koi chot tumko, ya ho jaao tum pareshaan,
To mere haq mein woh saari takleefein maangti hoon.
Ya khuda,mere akki ko gam se door rakhna,
Din raat tumhaare saare gam maangti hoon.
Âkki Tum ho hamesha kaamyaab,
tumhaari har khwaaish puri ho,
Bas yeh chaahti hoon,aur tumhaari khushi maangti hoon.
Âkki Main jaanti hoon ke tum mere hi ho lekin,
jane kyun fir bhi
Main hamesha khuda se tumhaara saath maangti hoon

No comments:

Post a Comment