Tum ruth jao mujhse
Aisa kabhi na karna
Main ek nazar ko tarsoon
Aisa kabhi na kerna
Main pooch pooch haroon
So so sawal kar ke
Tum kuch jawab na do
Aisa kabhi na kerna
Mujhse hi milke hansna
Mujhse hi milke rona
Mujhse bicher ke jee lo
Aisa kabhi na kerna
Tum chand ban ke rehna
Main dekhti rahoon gi
Kisi roz tum na niklo
Aisa kabhi na kerna
Tum chalay jao jab bhi
To dekhoon tumhara rasta
Tum laut ke na aao..............Aisa kabhi na karna
No comments:
Post a Comment