Friday, March 27, 2009

bacha kuch b nh

Aaj dil mera kehne ko betaab hai,
dil sambhalne ka koi ab chaara nahi.
mere dilke ghar me kayi barso se,
ek khiza hai khshiyo ka thehra hua.
sirf ehsaso me the aansu chamakte hue,
tab baanhe thi teri thikana mera.
aapke pyar ne duboya mujhe is kadar,
aap mile mujhe na_khuda ki tarah.
sab ko shikwa tha mujhse me hansti nahi,
aapke chehre se nigahe jo hati ti nahi.
kya batati me pathar bani kis tarah,
tha kya koi dosh isme tumhara nahi?
yeh dhadakta hai kyu?yeh machalta hai kyu?
jis ke hum the,hua aaj hamara wahi.
ab saath hai tu,or paas hai tu,
ek dil hi mera tha..wo tujhe de diya..
bachha KHUSHI ke paas kuch hamara nahi.

AiSa kBhi Na kRna...

Tum ruth jao mujhse
Aisa kabhi na karna
Main ek nazar ko tarsoon
Aisa kabhi na kerna
Main pooch pooch haroon
So so sawal kar ke
Tum kuch jawab na do
Aisa kabhi na kerna
Mujhse hi milke hansna
Mujhse hi milke rona
Mujhse bicher ke jee lo
Aisa kabhi na kerna
Tum chand ban ke rehna
Main dekhti rahoon gi
Kisi roz tum na niklo
Aisa kabhi na kerna
Tum chalay jao jab bhi
To dekhoon tumhara rasta
Tum laut ke na aao..............Aisa kabhi na karna

Tanhaiyan Aur Yaaden

Yeh tanhaiyan bhi badi ajeeb hoti hai
Milti hai jab bhi yadon ko bula leti hai
Nahi hote hai woh pas jabhi tanhai me
Yaaden aakar unki mere dilko mila deti
Tanhaiyan ki ab to aadat padh gayi hai
Yaadon ki mulakaten dil me gadh gayi hai
ab to mehfil me bhi tanhai dhar leti hai
Yaaden aakar unki kami ko bhar deti hai
Tanhai ne hame dard ke siva kuch naa diya
Yaadon ne har dardko mohobbat se bhar diya
Tanhai ke har zakhmo ko ab haskar sah lete hai
Yaadon ke marham se har ghav ko bhar lete hai

....Khwahish (an uncomplete dream)
Aarzuon aur Armaanon ki tamanna na rahi ,
Bhujhti hui hasraton se ek Khwahish baki hai....

khwahish..............teri bahon me mrne ki bas.............................

Thursday, March 19, 2009

aisa kr ke to dekh....

Main tere jism mein mehkungi gulabon ki tarah,
Aa kabhi mujhko dil mein basa ke to dekh.
Main tere lab pe chha jaungi muskarahat ki tarah,
Apne honton se mera naam bula ke to dekh.
Main teri aankh mein bas jaungi sapno ki tarah,
Tu meri yaad ka ek khawab saja ke to dekh.
Main bikhar jaungi chaar su khushion ki tarah,
Apne naam se mera naam mila ke to dekh!(

Wednesday, March 18, 2009

apni zindagi ke kuch pal de do

Aapni Jindagi ke kuch pal de do Mujhey...

Aaj na sahi aap Aapna kal de do Mujhey....

Khushi do ya na do.... Marji hai Aapki.......

apney Dukh dard hi de do Mujhey.....

apkey chehre par kabhi koi Gum na Chalkey....

Chehre ki Shikan Aur Mathey ke sal de do Mujhey...

Yu Baichain na raho, Muskaraya Karo.....

Mann ki Tadap Dil ki Halchal de do Mujhey...

Aapki mohabbat ke Bagair Zindgi Adhuri hai.......

Mujhsey mohabbat........ Karogey ....???

Is Sulagtey Huey Sawal ka jawab de do Mujhey......

humpe...aitbaar rkhna..

humpe ho yakken toh yeh baat yaad rakhna,

dil sabse judta nahin yeh tum bus yaad rakhna,

hum bewaffa nahin yeh tum bus yaad rakhna,

thaam ke haath chor de aisa humko na samajhna,

ham labon pe sajte hai humko hassi mein dhoondhna,

ham nahin jo aankhen nam kar de

itna hum pe aitbaar tum karna.........

Tuesday, March 17, 2009

taNha jEE lete hai...

teri meethi meethi..yaadon me khokar..hum to tanha jee lete hai..

yaad teri jab bhi aaye badi..to do ghooth ashq ke pee lete hai..

teri meethi meethi yaadon me khokar hum to tanha jii lete hai..

milta jab thoda gam humko,yaad tujhko kr lete hai..

laakh kahe duniya humko,hothon ko apne see lete hai..

teri meethi meethi yaadon me khokar hum to tanha ji lete hai..

teri beeti yaadon me khokar,ek meetha dard hum pee lete hai..

kuch purane khato ko padhkar,thoda sa has lete hai..

teri meethi meethi yaadon me khokar hum to tanha jee lete hai..

kyun door hai tu humse, tasweer se teri hum yeh keh lete hai..

koi nh chahiye duniya me humen...dukh ke aansu pee lete hai..

teri meethi meethi yaadon me khokar..hum to tanha jee lete hai..

ye veeraanapan lage dushman saa....teri tasweero se hi batiyaa lete hai..

teri pyaari pyaari yaadon me khokar.. hum kuch is tarah ji lete hai..

bas.. ji lete hai...

Mere yaar ye zindagi maine tere naam ki

Mere yaar ye zindagi maine tere naam ki,
Mita saku na jo tujhpe wo jaan kis kaam ki,
Duaaoo me main KHUDA se tujhe maangti rahi,
Bas ek yahi khwaish maine umr tamaam ki,
Aazmaish gar shart hai to aazmaale tu bhi kabhi,
Chalenge kaanto par taj ke zindagi aaraam ki,
Sehte hai pat’thar bhi lafzo ke roop ki,
Izhaar-e-Ishq hai jabse maine sare’aam ki,
Deti hai gawahi meri aankho ki surkhiyaa,
Waqt fakat tere tasau’ur mei maine subah shaam ki,
Teri khushiyo ke sadke ho fanaah ‘KHUSHI’ bhi,
Hum to diwaaane hai nahi karte parwah anjaam ki.

Friday, March 6, 2009

tum kya jano

Tum kya jaano main khuda se kya maangti hoon,
Tumhari salaamti ki hamesha dua maangti hoon.
Agar anjaane mein ho jaye koi tum se khata ,
To do mujhe uski saza yeh maangti hoon.
Agar lag jaaye koi chot tumko, ya ho jaao tum pareshaan,
To mere haq mein woh saari takleefein maangti hoon.
Ya khuda,mere akki ko gam se door rakhna,
Din raat tumhaare saare gam maangti hoon.
Âkki Tum ho hamesha kaamyaab,
tumhaari har khwaaish puri ho,
Bas yeh chaahti hoon,aur tumhaari khushi maangti hoon.
Âkki Main jaanti hoon ke tum mere hi ho lekin,
jane kyun fir bhi
Main hamesha khuda se tumhaara saath maangti hoon