Wednesday, November 21, 2012

dil ki kitaab ek arse se padi padi dhool ho gayi ...


Teri bewafaiyan bhi humko dil se qubool ho gayi
Mujh se mohabbat karna shayad teri bhool ho gayi

Maine Socha tha rahega zindagi bhar ka sath 
Magar ye zindagi Chaar din me hi wasool ho gayi

Jinda-dili kise kahte hain mujhe bhi batao
Jism baaki hai Rooh to meri kab ki kho gayi

Koi aata bhi nahi koi sawaanrta bhi nahi
Dil ki kitaab ek arse se pade pade dhool ho gayi

yaad teri ....!!

Raat bhar dard mein ghumati hai mujhe,
har roz yaad teri rulati hai mujhe...

khwab jab soch ke samandar mein utar jate hai,
har roz yaad teri tadpati hai mujhe...

zindagi ek jaam hai dil ki tamannaon ka,
har roz yaad teri yahi ehsas dilati hai mujhe...

jab se qismat ka mere dub gaya hai suraj,
andhere waqt mein har roz yaad teri behtkati hai mujhe...

yeh pagal dil na jaane kahan kho jata hai,
chandni raat ye tanhai ki satati hai mujhe...




Saturday, April 14, 2012

aadat...


Andhero ki jinko aadat nahi hoti
karib unke koi haqikat nahi hoti
kaise kahe ki kis kadar hai aalam meri tanhai ka
Tere aalawa aur koi bhi aachi surat nahi hoti,

Bahut hai nazar me samjhane ke raste
har nazar ko sachhai se mohahbat nahi hoti,

Khabar to hai jahan me mere yakih ki
magar yaha kisi se roz mulakat nahi hoti.


aaj bhee intzarr hai teraa !!

aaj bhee intezaar hai teraa
bas me nahee hai koii haqq
na tumne diyaa mujhako koii haqq
yahi rishte zindagi ke judaa hone lage hai
aaj kal to log har pal chehare badalane lage hai
na koii saath hai
na koii umeed hai
bas raaste hi hame liye jaa rahe hai
hisaab se aaj bhi ham zindagee ko jiye jaa rahe hai.

Saturday, July 30, 2011

hume badalte badalte na jaane...

mere dar pe aa gaye ho tum bhee
na jaane kaise gaye the yaha se tum bhee

nazar ke faasale hai bahut lekin
bach na paaoge kisee se tum bhee

Khabar to hai kuch aisee is jahaan kee
kyaa lekar jaaoge mere ghar tum bhee

zindagee ne tumhe badal ke rakh diyaa
hame badalte badalte na jaane kab badal gaye tum bhee.

fir wahi Dard..!!

Aaj phir usi dard ne gher liya mujhe..
Aaj phir Tanhaai ne gher liya mujhe..
Aaj phir dhadkan koi aur raag suna rahi hai..
Aaj phir kisi yaadon ne duba diya mujhe..

Dhadkan bhi ab to ruk ruk ke chalTi hai..
ThamTi hai, rukTi hai, ik baar phir chalTi hai..
Aaj phir uski baaTein yaad aa rahi hain..
Aaj phir uski raahein yaad aa rahi hain
Aaj phir usi dard ne gher liya mujhe...

Kal Tak to woh saaTh Tha, aaj kahan gum hai?
Kal Tak meri parchaayi Tha, aaj kahan gum hai?
Woh nahi shaayad khoi hui to main khud hun..
Jabse door huyi main usse, TooTi hui main khud hun..
Aaj phir usi dard ne gher liya mujhe....

Aaj phir aankhen nam ho gayi...
BaiThe baiThe Tanha ho gayi..
Kisi ki yaadon ke saaye ne is kadar gher liya mujhe..
Ki apne se hi main door ho gayi...
Aaj phir usi dard ne gher liya mujhe.......

Aaj phir usi dard ne gher liya mujhe..
Aaj phir Tanhaai ne gher liya mujhe..
Aaj phir dhadkan koi aur raag suna rahi hai..
Aaj phir kisi yaadon ne duba diya mujhe..
Aaj phir usi dard ne gher liya mujhe..............

Saturday, October 23, 2010

wo bachpan bahut yaad aata hai....


baat hai mere bachpan ki, 
meri shararte,mere alhad mann ki... 
Har kisi k saath hansna khelna, 
wo pulsar-akki ka meri shararte jhelna.. 

Wo ladakpan bahut yaad aata hai... 
Wo bachpan bahut yaad aata hai... 

Wo Dosto k sath jhagadna, 
fir agle he pal unke sath hansna.. 
Wo 'Hero mind' bahut yaad aata hai... 
Wo bachpan bahut yaad aata hai... 

pulsar-akki ki baato me interfere krna 
baat jan-ne ki zid karna, 
fir un ka meri zid k aage jhukna... 
Wo 'hitler mind' bahut yaad aata hai... 
Wo bachpan bahut yaad aata hai... 

Khilono k saath khelna, 
unhe todkar fir se jodna, 
wo 'engineer mind' bahut yaad aata hai... 
Wo bachpan bahut yaad aata hai... 

Mera kisi baat pe roothna, 
pulsar ka akki ko daantna.. 
Mujhe samjhaana,mujhe manana.. 
Wo dosto ka pyaar bahut yaad aata hai.. 
Wo bachpan bahut yaad aata hai... 
Wo bachpan bahut yaad aata hai...