Saturday, October 23, 2010

wo bachpan bahut yaad aata hai....


baat hai mere bachpan ki, 
meri shararte,mere alhad mann ki... 
Har kisi k saath hansna khelna, 
wo pulsar-akki ka meri shararte jhelna.. 

Wo ladakpan bahut yaad aata hai... 
Wo bachpan bahut yaad aata hai... 

Wo Dosto k sath jhagadna, 
fir agle he pal unke sath hansna.. 
Wo 'Hero mind' bahut yaad aata hai... 
Wo bachpan bahut yaad aata hai... 

pulsar-akki ki baato me interfere krna 
baat jan-ne ki zid karna, 
fir un ka meri zid k aage jhukna... 
Wo 'hitler mind' bahut yaad aata hai... 
Wo bachpan bahut yaad aata hai... 

Khilono k saath khelna, 
unhe todkar fir se jodna, 
wo 'engineer mind' bahut yaad aata hai... 
Wo bachpan bahut yaad aata hai... 

Mera kisi baat pe roothna, 
pulsar ka akki ko daantna.. 
Mujhe samjhaana,mujhe manana.. 
Wo dosto ka pyaar bahut yaad aata hai.. 
Wo bachpan bahut yaad aata hai... 
Wo bachpan bahut yaad aata hai...

1 comment:

  1. koi fikar thi na koi bahna mutthi mai tha jese ye zaamana kachi juba mai wo geet gaana naye khilone sab ko dikhana

    ReplyDelete